Dying light 2
Hello dosto aaj hum baat karne bale hai Dying light 2 game ke bare me jo spring 2020 me launch hoga. Is game ke developer hai Techland aur Publisher hai Square Enix. Ye game sabhi Platform ke available hoga jese ki Playstation 4, Xbox one aur Windows ke liye.
Dying light 2 ek first person zombie apocalypse themed action role-playing game hai.
Game ek naye game character ke sath start hota hai jiska naam Aiden Caldwell. Player Aiden ka role play karta hai.
Aiden bahut si skill me mahir hota hai jese ki parkour skill (esi skills jo walls par bhagne aur bhagte samaye kaam aati hai).
Player climbing, walls par bhagna jese action perform kar sakta hai jisse city ko navigate karne me aasani rehti hai. Iske aalava Grappling hook aur paraglider ka bhi istemal karna hota hai jisse city achhe se explore kar sakte hai ek building se dusri building tak janne me aasani rehti hai. Ye game mostly melee based matlab ki Player ko hatho se ladna hota hai aur Player bhot se melee weapons ka use bhi kar sakta hai.
Isme jo melee weapons hote unki ki ek life hoti hai jo limited hoti hai aur long time tak use karne se bo degrade hote hai. Aiden superhuman skills ka use kar sakta infection ki bajeh se. Sunlight me zombie slow ho jate hai aur night ke time kafi aggressive hojate hai.
Game ek city me hoti hai jo kafi badi city hai jise Player freely explore kar sakta hai. Map apne original game se four times bada bhi hai. Aur ye seven regions me divided hai(Districts) aur har ek ke landmark aur locations hai. Player kayi chizo ko search karna hota hai aur unse new weapons craft kar sakte hai. Is game me Player jo decision leta hai (game aapko choice deta hai) Aur un decision ke base par story decide hoti hai. Aur story par effect hoti hai. Kuchh decision lene hote hai. jo city ke area ko seal ya open kara sakte hai. In game me four-playe cooperative support hai matlab ise aap multiplayer bhi khel sakte hai.
Trailer:
Comments
Post a Comment