battlefield v
hello dosto.
aaj hum baat karte hai naye game battlefield 5 ke bare kher battlefield games to har kisi ne khele hoge bs ye uska aagla sequel hai ye game release hoga October 19, 2018 me yani ishi year me.
Is game ko develop kiya hai EA DICE ne aur publisher hai EA(Electronic Arts) ye game sabhi platform ko support karta hai yani windows,playstation 4 aur xbox one ye game battlefield 1 ka sequel hai is game me bade pemane par party based features aur mechanics par dheyan diya gaya hai jese resources ki kami aur abstraction(kalpnik) ko game mechanics se hataya gaya hai jisse game aur bhi realistic lage aur uska gameplay bhi sandar ho aur gamers ko attract kare aur jisse ye hoga ye gameplay ke doran player ko ye kahi nhi lage ki hum kahi virtual place par game ko nhi khel rahe hai jo exist hi nhi karti hai.
battlefield 5 me bistaar se player ke customization par focus kiya gaya hai jaha players able hai multiple characters ko various weapons aur other features ke sath characters ko create kar ne me.
Cosmetic item(virtual good) aur currency ka use other cheejo ko purchase(kharidne) ke liye kar sakte hai jo ki aap game ke objective ko complete karke earn kar sakte ha.
Is game me kuchh naye multiplayer modes dekhne ko milege jisme hoge "continious" campaign mode "Tides of war","Royale" aur Grand operations" ye jo Grand operation mode hai ye "operation mode" ka expansion(bistaar) hai jo ki battlefield 1 me tha agar aapne khela hoga to aapko pata hoga bas Grand operation me har ek round me specific objective hoge aur jo performance hogi har stage me uska influence(prabhav) har agli stage ka zeyada hoga.
Is game jab end hota hai ya fir last stage hoti hai to usme aapko primary weapon ka hi use karna hota hai jisme limited ammo hota hai jise respawn nhi ho sakta.Ye battlefileld 1 jesa hi hai ye game world war II par based hai uske aspect(pehlu) par is game Royake mode joda jayega
Trailer:
plzz ek baar donation page ko visit(open) kare Donation page link : Donation page
Comments
Post a Comment