The crew 2


Hello friend.
aaj hum baat karne bale hai ek game ke bare me jo ki 29 june 2018 me release hone bala hai.
Is game ke cover se to aap samaz hi gaye hoge ye ek racing game hai darsal ye game apne pure game jese hi hai jiska naam tha the crew
The crew 2 apne purane game sequel hai.


Is game ko develop kiya gaya hai Ivory Tower ke duara aur publisher hai ubisoft.Is game me player ek unknow racer ka role play karta hai jo ki apne anusar hi kaam karne ki kosis karta hai aur successful hona chahta hai multiple disciplines(bahut se visayo) me.The crew 2 game open world hai jaha aap kahi bhi aaja sakte hai aur iska open world enviroment hai jo united state se mila jula lagega.


Is game ki khas baat ye hai ke dusre racing game ko compare kiya jaye to other game me player ya to car ya fir bike se race hoti hai but the crew 2 game me player ko multiple vehicles se race karne ka moka milta hai jese ki cars bikes boats aur airplanes.Har vehicles ki physics ya fir unko control karna different(alag alag) hota hai. 



Is game ka ek features ye bhi hai player instantly kisi bhi vehicles air,land aur sea vehicles ko control ke liye switch(badalna) kar sakta hai.

 
The crew 2 me player ko har tareh ki race karne ko milegi chahe bo pro racing, off road racing,free style racing ya fir street racing.
Ye game multiplayer aur single player hoga but is game ko khel ne ke liye constant(lagatar) internet ki jaroorat hogi.  

Trailer:




Request:

plzz ek baar donation page ko visit(open) kare Donation page link : Donation page


 

Comments

Popular Posts