AMD RYZEN 3000 series


Aaj hum baat karne bale hai AMD ke Ryzen processors ke bare me abhi 7 july ko amd ne apne apu launch kar diye hai india me amd ne apne 8 apu market me utare hai aur inki sale suru bhi ho chuki hai ye cpu sabse phle amd ke zen 2 architecture aur 7nm manufacturing process use karege.
Aur X570 motherboard bhi launch hogaye hai jo ki unki bhi sale chal rayi hai ab ye jo motherboard hai inme aapko PCIe 4.0 milta jo ki bhot kaam aata hai connectivity me core pc component ke beech.
Jo top end bale cpu hai unki to sale bhi start hogayi hai aur top end cpu hai Ryzen 9 3900X jo aata hai 12 cores aur 24 threads ke sath jiski base clock hai 3.8Ghz aur boost clock hai 4.6Ghz aur sath me 105W TDP plus 6Mb cache of L2 aur 64MB cache of L3.
AMD ne ye bhi kaha hai jo inki 7 process hai bo allow karti hai inki core density aur cache amount increase karne me same socket AM4 bale interface me.
khair ye processor india me Rs 35,990 ka bayata gaya hai aur tax ke baad ye kuchh 
Rs 42,470 ka milega baki Ryzen 3950X is saal ke september me launch hoga.
Baki apne other model AMD launch kar chuki hai 8-core aur 16 threads bale Ryzen 7 3800X aur Ryzen 7 3700X jinki price Rs 28,490 aur 
Rs 24,990 batayi jarahi hai plus tax ke sath.
Amd ne ye bhi announce kiya hai Ryzen 5 3400G aur Ryzen 3 3200G APUs, jo based hai pichhle zen+ architecture par jinme ab integrated Radeon vega graphics bhi hai.
Ye model entry level gamers ko dheyan me rakh kar banaya gaya hai aur inki price Rs 10,990 aur Rs 7,190 hai plus taxes.
Aur esa bhi sunne me ayaa hai Ryzen 9 3900X intel ke i9 9900k ko single aur multi-threads me kadi takkar deta hai.
In processor ke sath aapko RGB cooler free hai jo ki AMD hamesa deta hi hai cooler apne processor ke sath.

Must visit Donation page:  Donation page  
 
plzz Dosto support kare
Ek post ko likhne me 3-4 hours lagte
hai

Comments

Popular Posts