CYBERPUNK 2077
Aaj dosto aaj hum baat karne bale hai Cyberpunk game ke bare me jo 16 April 2020
ko launch hone bala hai.Aur ye bhi sabhi platform ke available hoga jese mai
batab rehta hu Windows,PS4 aur XBOX. Ek to aapko iska cover dekhar
samaz aahi gaya hoga ye ek futuristic game hai.
Aur sath me ye ek open world game hai ab jab open world hai to kisi na kisi
city par based hoga aur bo city hai NIGHT CITY,CALIFORNIA joki six region me divided hai
aur is city me aksar illegal hote rehte hai.
Player game me mercenary V ka role nibhata hai jo ek character hai jo customize
kiya ja sakta hai aapko game XP bhi milti.
V ke paas ranged weapons bhi hoge aur iske paas melee combat ka option bhi hota hai.
Cyberpunk 2077 CD Projekt Red,Internal studio within CD Projekt,using
REDengine 4 game engine ke duara develop kiya gaya hai.
Game me aapko actor Keanu Reeves ka role bhi dekhne ko milega jo ek game
character hai.Cyberpunk 2077 ek first person perspective game hai.
mercenary V ke sex, hairstyle, face, body, background aur clothes bhi customize
kiya ja sakta hai. V ke clothing se non player characters ka interaction par
asar padta hai aur iske sath sath V non player characters ke romantic aur sexual
relationship bana sakta hai. Bhaiya game 18+ hai. Game me stat categories ko bhi
bataya gaya hai jisme hai Strength, Constitution , Intelligence, Reflex, Tech,
aur Cool jo character ke classes ke according hogi jo Player assume karta hai.
jo hai NetRunner (Hacking), Techie (Machinery), aur Solo (combat).
Perk tree melee, blades, handguns, shotgun, Rifles, Sniper rifles ,hacking,
two-handed combat, assassination, cold-blood, engineering aur athletics me
divided hai. (perk tree matlab ek tree hota hai jo upgradation time par dikhta
hai ex. watch Dogs game).
V ko apne upgradation ke liye "ripperdoc" jo ek doctor hai aur usko consult
karna hota hai aur ripperdoc cyberware ko implant kart hai. Aur aap baar baar
upgradation kar bate hai to aapko ripperdoc discount bhi deta hai.
Aur jo jiski cost eurodollars me hoti hai, aur ye sab black market me military
abilities bhi mil sakti hai matlab ye sabhi black market me hota hai.
Har equipments ko ek color assign hota jo uski rarity ko show karta hai.
green (uncommon) aur purple (epic) ko.
V game me cover le sakta hai, aim kar sakta (nisana), ground aur wall (dibal)
par run kar sakta hai, double jump kar sakta hai aur slide bhi kar sakta hai.
weapons ki reloading speed ya fir repair karbana hota hai to gunsmith ke pass
jana hota hai sath me upgradation bhi weapons ka gunsmith hi karta hai.
city kafi badi hone se V foot ya vehicles ka use karne explore kae sakta hai.
aur game me raah chalte non-characters ko chukal sakte hai jesa hume GTA ke
games me dekha hai. Game me full-day and night cycle hai sath me weather bhi change
hota hai jo non-player characters ke mood par asar dalta hai.
V apartment ko karid sakta hai (buy) jaha weapons ko la sakta hai computer ka
use kar sakta hai aur dress change bhi kar sakta hai.
Game bhot se non-player characters English nhi bol pate hai jiske liye V ko
Translator ki jaroorat hoti hai jise karidna hota hai.
"Braindance" game me ek device hai jo V ke direct Brain se juda hota hai jisse V
Emotion experince kar pata hai.
Branching Dialogues non-player characters se interaction help karta hai
aur action quest me kaam aate hai.
Game me XP aapko main quest aur side quest se milti hai jo ki help karti hai
V apne sathb rehne bale sathiyo ki help bhi karta hai jo game me uska sath dete
hai softdrinks aur healing karke.
Dosto kuchh point mene chhipa liye taki Game play ke time aapko kuchh naya
experince milega.
Trailer:
Comments
Post a Comment