WATCH DOGS LEGION
Aaj hum baat karne bale hai new game ke bare me jo hai watch dogs legion agr aap ek gamer hai to aapne watch dog series game ke khele hihoge to ye game watch dogs 2 ka sequel hai jo launch hoga March 6 2020 ko aur ye game sabhi platform ke liye available hoga windows,playstation 4,xbox aur google stadia. Iske developer hai Ubisoft Toronto aur publisher hai Ubisoft.
jese ki watch dogs series ke game third person ke the to ye game bhi third person perspective ko follow karta hai.
watch dog legion game ek open world game hai jo london seher me khela jata hai jabki london ko kuchh fictionalised (kalpnik) banaya gaya hai jisse game aur bhi sandar hogaya hai.
watch dogs legion game me player ek nhi balki multiple characters ke sath khel sakta hai but agr player currently jis character se khel raha hoga agr bo bhot zeyada damage ho jata hai aur mar jata hai to bo permanently game se chala jayega iske sath multiplayer ka feature bhi joda gaya hai jisse four player ek sath khela ja sakta hai.
game ki story focus hai ek hacker group par jis ka naam hai Dedsec jo against hai regime authority jisne united kingdom par kabja kar liya hai. Game me ek surveillance system hai jiska naam hai ctOS jo help kart hai Dedsec ki allies(people) bharti(recruit) ke liye across the city (poore seher me se) aur har ek character ki ek person life hogi aur unki apni apni skills hogi.
Game me london ek surveillance state hai jisme freedom (Azadi) bhot zeyada limited hai aur citizens ki activities par nazar rakhi jati hai.
Jo hota hai Albion ke bajeh se jo hai private security company hai aur ye company city's law ko strictly follow karati hai.
player game me poore seher ko navigate kar sakta hai vehicles ya foot se.
Game me hai underground stations hai jisse fast travel kar sakte hai.
mai bata chuka hu game me multiple characters hai aur har ek ko ek unique task ke liye hire karna hota hai aur bo depend kart hai Dedsec ke sath kon khada hai matlab sath dene bale jese ki ex. ek character jo hacker hai jo help karta hai Dedsec ki unke mission ko poora karane me aur jo drone ko control karne me well skilled hota hai.
jabki game ek character aur bhi hai jiski family accidentally dedsec member se marjati(killed) aur bo ye sehen nhi karta aur group ko join nhi karta.
Ek baar jo character recruit hogaya fir use player ki list me three class ke according task assign hote jo combat,stealth ya hacking aur har character ek background hota hai.
jese mai ne phle bataya age aapka character critically damage ho jata hai to aur mar jata hai to game delete ho jayega isse bachne ke liye aap surrender kar sakte hai aur kisi aur character se aap use baad me bacha sakte hai jisse aapka character marne se bach jata hai kuchh character to isme ese bhi hai jo bhot excitement bale aur adventurous hai jinhe marne dar nhi hota.
Player character ko switch bhi kar sakta hai
ye game multiplayer aur single player dono support karta hai.
Trailer:
Must visit Donation page: Donation page
plzz Dosto support kare
Ek post ko likhne me 3-4 hours lagte
hai
Comments
Post a Comment