Tom Clancy's Ghost Recon Breakpoint
Hello dosto aaj hum baat karne bale hai ek naye game ke bare me jo hai Tom
clancy's Ghost Recon Breakdown ye game ek online tactical shooter video game hai.
Jo develop kiya hai Ubisoft paris ne aur publisher hai Ubhisoft.
Iski release date October 4,2019 hai aur ye game sabhi platform jese ki Windows,
xbox,playstaion aur google stadia par available hoga ye game Tom clancy's wildland
ka sequel hai.
Ye game ek open world game hai jaha ek fictional island hai jo ki isthit hai Pacific
ocean me aur uska naam hai Auroa. Jaha player ek Lieutenent colonel anthony "Nomad" perryman ka role play karta hai. special force ko us island par bheja jata hai
taki bo log (characters) invetigate kar sake skell technology ke bare me.
Ye game jo hai third person perpective hai aur shooting ke doran player aim karne ki
kosis karega to ye first person perspective ka follow karne lagta hai while aiming
jesa hum ne call of duty aur battlefield ke games me dekha hai.
jesa mene baytaya player ek Lieutenent colonel anthony "Nomad" perryman ka role
play karta hai jo ek member hai delta company ka,first battalion ,5th Special force
Group jise ghost ke naam se jana jata hai bo United state ki ek fictional(banabti)
force hai.
Game bhot sare variety of landscape hai aur jisse tactical advantage milta hai.
example player apne character ko mud (mitti) se cover kar sakta hai jese ki military
apna face cover kar leti hai.
khair Auroa bhot bada island hai to ise air,lad aur sea vehicles se explore kar sakte hai.
Game me four classes hai ubisoft ne kaha hai aur bhi classes game ke updates add kardi
jayegi.
Har class ki apni abilities hoti hai jese ki panther ek class hai jo stealth me mahir hai
smoke granades phek sakta hai. Player game me beech me alag class me switch kar sakta hai
Player ko ek sath hona hota hai (sabhi character sath ho) aur various method ko use karke mission ko complete karna hota hai.
pichhle game me drones aur rocket launcher the jo enemies ko marne ke kaam aate
the aur game player stealth ka use karna hota tha.
Breakpoint me player new variety of weapons ko euip kar sakta hai (le sakta hai)
jese blowtorch jo fence ko kat ne me kaam aati hai aur sulphur gas granades ka use
enemies ko marne me kar sakte hai aur electromagnetic granades drones aur vehicles ko disable kardete hai.
player dusri bodies ka use hide hone ke liye kar sakte hai aur alam bajtne se bach sakta hai.
new features add kiye gaye hai game jo wildland game ke feedback diye gaye the.
Game me survival par zhor diya gaya hai aur enemies bhi player ke action ka realistic
jabab dege aur Auroa me player ko search karte rahege. Player ko bhotse resources
ko collect karna padega taki bo unse bandages ke roop me use kar sake aur apne
weapons ko maintain kar sake taki bo thik tareh se kaam kare.
player ko apne characters ke thakabat aur bhook(hunger) aur hydration ka dheyaan rakhna
hoga nhi to characters ki performance kam ho jayegi aur chalne par characters bhot
shor karege. Game me health regenerate ka system hai jab player hide hota hai
tab kaam aata hai aur health bhi restore karta hai but agar character ko koi
serious injuries hojati hai to ek character dusre character ko utha kar ek safe
place par revive kar sakta hai aur player bivouac shelter bhi set kar sakta hai
aur khud ko heal kar sakta hai sath me character weapons aur characters ki classes
bhi customize kar sakta hai.
Ye game three players ke sath cooperatively khela ja sakta hai aur single player bhi
but Breakdown constant internet ki requriment hogi.
Trailer:
Comments
Post a Comment